Gudiyaan Tujh Par Ik Pal

Loading...

Gudiyaan Tujh Par Ik Pal Hasana Ik Pal Rona Aaye 2
Waqt Bana Woh Bachcha Jisake Haath Khilauna Aaye
Ik Pal Aaye, Ik Pal Rona Aaye 2

Aisi Chali Haalaat Ki Aandhi Bujh Gayi Mann Ki Jyoti 2
Armaano Ki Doriyaan Tuti Bikhar Gaye Sab Moti
Tere Ashkon Ko Maala Mein 2, Kise Pirona Aaye, Kise Pirona Aaye
Ik Pal Aaye, Ik Pal Rona Aaye 2

Tera Koi Jor Chale Na Iss Duniya Ke Aage 2
Tujh Par Apana Hukum Chalaaye Rasmo Riwaaj Ke Dhaage
Teri Majboori Ko 2, Ghum Ka Bojh Hi Dhona Aaye
Waqt Bana Woh Bachcha Jisake Haath Khilauna Aaye
Ik Pal Aaye, Ik Pal Rona Aaye 2

Sabne Shor Machaakar Keh Di Apani Apani Baat 2
Baithi Rahi Ghaamosh Si Gudiyaan Dil Par Rakh Kar Haath
Paar Lagaana Koi Na Jaane 2, Sabko Dubona Aaye, Sabko Dubona Aaye
Ik Pal Aaye, Ik Pal Rona Aaye 2

Kaash Kabhi Kaanoon Ki Devi Aankh Se Patti Kholein 2
Dekh Ke Sab Insaaf Karein Woh Sach Ko Baraabar Tolein
Rasmon Ke Sang Jajabon Ko Bhi 2, Use Samona Aaye
Waqt Bana Woh Bachcha Jisake Haath Khilauna Aaye
Ik Pal Aaye, Ik Pal Rona Aaye 2
Gudiyaan Tujh Par Ik Pal Hasana Ik Pal Rona Aaye
Waqt Bana Woh Bachcha Jisake Haath Khilauna Aaye
Ik Pal Aaye, Ik Pal Rona Aaye 2





All Songs From Kahaani Gudiya Ki


Bookmark This Page
Add to Digg Add to Del.icio.us Add to Google Add to Yahoo Add to Reddit Add to StumbleUpon Add to Netscape Add to Furl Add to Blinklist Add to Technorati

SONGS

Browse Songs for Hindi Lyrics

ABCDEFGHI
JKLMNOPQR
STUVWXYZ


Now connect with your Orkut friends. Sign in with your Google account, choose settings and add your Orkut network here. Its that simple!

Most Popular

Copyright © 2008 Free Hindi Lyrics | All Rights Reserved